gul ki surat bikhar bikhar jae
gul kī sūrat bikhar bikhar jaa.e
zindagī bas kahīñ guzar jaa.e
pyaas bujhtī nahīñ sharāboñ se
in piyāloñ meñ zahr bhar jaa.e
chāñd kuchh der terī chhat pe rahe
phir mire jaam meñ utar jaa.e
ab vo bāñheñ bhī so ga.ī hoñgī
kin umīdoñ pe koī ghar jaa.e
aaj kī raat hai bahut bhārī
aaj kī raat bas guzar jaa.e
‘arsh-o-kursī tasavvurāt meñ haiñ
ab kahāñ tak ke ye nazar jaa.e
gul ki surat bikhar bikhar jae
zindagi bas kahin guzar jae
pyas bujhti nahin sharabon se
in piyalon mein zahr bhar jae
chand kuchh der teri chhat pe rahe
phir mere jam mein utar jae
ab wo banhen bhi so gai hongi
kin umidon pe koi ghar jae
aaj ki raat hai bahut bhaari
aaj ki raat bas guzar jae
‘arsh-o-kursi tasawwuraat mein hain
ab kahan tak ke ye nazar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.