gul-mohar ki chhanw ka qissa likhun
gul-mohar kī chhāñv kā qissa likhūñ
yā phir apnī zaat kā nauha likhūñ
dard ko likkhūñ matā-e-zindagī
zindagī ko aag kā dariyā likhūñ
shahriyat kā jab savāl aa jaa.e to
dard-o-ġham ko dil kā bāshinda likhūñ
aah ko likkhūñ sharār-e-ārzū
aur ashkoñ ko gul-e-ra.anā likhūñ
zulmatoñ kā aks jin meñ qaid hai
jugnuoñ ko aisā ā.īna likhūñ
gul-mohar ki chhanw ka qissa likhun
ya phir apni zat ka nauha likhun
dard ko likkhun mata-e-zindagi
zindagi ko aag ka dariya likhun
shahriyat ka jab sawal aa jae to
dard-o-gham ko dil ka bashinda likhun
aah ko likkhun sharar-e-arzu
aur ashkon ko gul-e-rana likhun
zulmaton ka aks jin mein qaid hai
jugnuon ko aisa aaina likhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.