gul-o-gulzar guhar chand sitare bachche
gul-o-gulzār guhar chāñd sitāre bachche
rañg-o-bū nuur ke paikar haiñ ye saare bachche
aa.ine haiñ ki damakte hue chehre in ke
aise shaffāf ki dariyāoñ ke dhāre bachche
kitne ma.asūm ke ye saañp pakaḌnā chāheñ
kitne bhole haiñ ki chhūte haiñ sharāre bachche
aane vāloñ ko batā dete haiñ ghar kī bāteñ
kab samajhte haiñ ye āñkhoñ ke ishāre bachche
ḳhud se das-bīs baras aur baḌe lagte haiñ
ghar banāte hue dariyā ke kināre bachche
gaañv jaatā huuñ to chaupāl kā ik būḌhā daraḳht
bāheñ phailā ke ye kahtā ki aa re bachche
ab na vo khel khilaune na sharārat 'fārūq'
kitne ḳhāmosh akele haiñ hamāre bachche
gul-o-gulzar guhar chand sitare bachche
rang-o-bu nur ke paikar hain ye sare bachche
aaine hain ki damakte hue chehre in ke
aise shaffaf ki dariyaon ke dhaare bachche
kitne masum ke ye sanp pakaDna chahen
kitne bhole hain ki chhute hain sharare bachche
aane walon ko bata dete hain ghar ki baaten
kab samajhte hain ye aankhon ke ishaare bachche
KHud se das-bis baras aur baDe lagte hain
ghar banate hue dariya ke kinare bachche
ganw jata hun to chaupal ka ek buDha daraKHt
bahen phaila ke ye kahta ki aa re bachche
ab na wo khel khilaune na shararat 'faruq'
kitne KHamosh akele hain hamare bachche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.