gul o mahtab likhna chahta hun
gul o mahtāb likhnā chāhtā huuñ
maiñ apne ḳhvāb likhnā chāhtā huuñ
mohabbat se bharā hai dil kā dariyā
magar pāyāb likhnā chāhtā huuñ
likhūñ kaise ki saare sher tum par
bahut nāyāb likhnā chāhtā huuñ
maiñ apnā aur tumhārā naam ik din
kanār-e-āb likhnā chāhtā huuñ
maiñ ḳhud ko bādshāh-e-ishq likh kar
tumheñ be-tāb likhnā chāhtā huuñ
maiñ saare zaḳhm jo tum se mile haiñ
unheñ shādāb likhnā chāhtā huuñ
maiñ 'sābir' zindagī ke saare manzar
pas-e-girdāb likhnā chāhtā huuñ
gul o mahtab likhna chahta hun
main apne KHwab likhna chahta hun
mohabbat se bhara hai dil ka dariya
magar payab likhna chahta hun
likhun kaise ki sare sher tum par
bahut nayab likhna chahta hun
main apna aur tumhaara nam ek din
kanar-e-ab likhna chahta hun
main KHud ko baadshah-e-ishq likh kar
tumhein be-tab likhna chahta hun
main sare zaKHm jo tum se mile hain
unhen shadab likhna chahta hun
main 'sabir' zindagi ke sare manzar
pas-e-girdab likhna chahta hun
- Book : Asaleeb (Pg. 605)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.