gul-rang paikaron mein ruKH-e-zard main hi tha
gul-rang paikaron mein ruKH-e-zard main hi tha
Mohammad Ahmad Ramz
MORE BYMohammad Ahmad Ramz
gul-rañg paikaroñ meñ ruḳh-e-zard maiñ hī thā
har samt sho.alagī thī magar sard maiñ hī thā
tū ne barahnā kar diyā mere sukūt ko
ai shorish-e-jahāñ tirā hamdard maiñ hī thā
tū ne libās-e-rañg samajh kar pahan liyā
ai bul-havas vo pairahan-e-dard maiñ hī thā
kis kī talāsh thī ye mujhe ḳhud ḳhabar nahīñ
parchhā.iyoñ kī oT meñ shab-gard maiñ hī thā
vo TukḌe-TukḌe mere hī āzā-e-jism the
kis se kahūñ ki qātil-e-bedard maiñ hī thā
ma.anī ke jaal buntā huā 'ramz' dūr-dūr
alfāz kī fazā meñ tah-e-gard maiñ hī thā
gul-rang paikaron mein ruKH-e-zard main hi tha
har samt shoalagi thi magar sard main hi tha
tu ne barahna kar diya mere sukut ko
ai shorish-e-jahan tera hamdard main hi tha
tu ne libas-e-rang samajh kar pahan liya
ai bul-hawas wo pairahan-e-dard main hi tha
kis ki talash thi ye mujhe KHud KHabar nahin
parchhaiyon ki oT mein shab-gard main hi tha
wo TukDe-TukDe mere hi aaza-e-jism the
kis se kahun ki qatil-e-bedard main hi tha
mani ke jal bunta hua 'ramz' dur-dur
alfaz ki faza mein tah-e-gard main hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.