gul sadaqat se mahakte hue tasir mein rakh
gul sadāqat se mahakte hue tāsīr meñ rakh
sāneha dil pe jo guzre vahī tahrīr meñ rakh
tāq-e-zindāñ meñ charāġh-e-ġham-e-hastī na jalā
ātish-e-ishq-e-darūñ halqa-e-zanjīr meñ rakh
ḳhisht-e-be-faiz jo ārāsta guftār meñ hai
us ko buniyād banā kar kisī ta.amīr meñ rakh
zulmatoñ se kisī ghar kī nahīñ hotī pahchān
sang-o-gul hī nahīñ kuchh nuur bhī jāgīr meñ rakh
kab talak dosh pe ḳhvāboñ ke karegā parvāz
ham-nashīñ azm-e-safar vādī-e-tā'bīr meñ rakh
diid kī ziist se tā-marg talab aa pahuñchī
hīla-jū aur bahāne tū na tāḳhīr meñ rakh
sarvarī zor-e-takallum se na mil pā.egī
ham-nashīñ ijz-e-bayāñ ḳhūbī-e-taqrīr meñ rakh
gul sadaqat se mahakte hue tasir mein rakh
saneha dil pe jo guzre wahi tahrir mein rakh
taq-e-zindan mein charagh-e-gham-e-hasti na jala
aatish-e-ishq-e-darun halqa-e-zanjir mein rakh
KHisht-e-be-faiz jo aarasta guftar mein hai
us ko buniyaad bana kar kisi tamir mein rakh
zulmaton se kisi ghar ki nahin hoti pahchan
sang-o-gul hi nahin kuchh nur bhi jagir mein rakh
kab talak dosh pe KHwabon ke karega parwaz
ham-nashin azm-e-safar wadi-e-ta'bir mein rakh
did ki zist se ta-marg talab aa pahunchi
hila-ju aur bahane tu na taKHir mein rakh
sarwari zor-e-takallum se na mil paegi
ham-nashin ijz-e-bayan KHubi-e-taqrir mein rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.