gul yaad na amwaj-e-nasim-e-sahari yaad
gul yaad na amvāj-e-nasīm-e-saharī yaad
kuchh bhī nahīñ juz ālam-e-be-bāl-o-parī yaad
ḳhurshīd-e-sahar āriz-e-mahtāb kā aalam
nazroñ ko abhī tak hai tirī jalvagarī yaad
sū-e-haram-o-dair kabhī ruḳh na kareñge
jin ko mire saaqī kī hai rañgīñ-nazarī yaad
jalvoñ kā taqāzā nahīñ kartī nazar un kī
rahtī hai jinheñ husn kī dīvāna-garī yaad
ye vaqt ba-har-hāl guzar jā.egā lekin
rah jā.egī aahoñ kī hameñ be-asarī yaad
maiñ vo huuñ ki parde meñ tujhe dekh chukā huuñ
shāyad ho tujhe merī vasī.a-un-nazarī yaad
mai-ḳhāna thā aur shaġhl-e-mai-nāb thā 'shā.ir'
ab tak hai mujhe dāman-e-zāhid kī tarī yaad
gul yaad na amwaj-e-nasim-e-sahari yaad
kuchh bhi nahin juz aalam-e-be-baal-o-pari yaad
KHurshid-e-sahar aariz-e-mahtab ka aalam
nazron ko abhi tak hai teri jalwagari yaad
su-e-haram-o-dair kabhi ruKH na karenge
jin ko mere saqi ki hai rangin-nazari yaad
jalwon ka taqaza nahin karti nazar un ki
rahti hai jinhen husn ki diwana-gari yaad
ye waqt ba-har-haal guzar jaega lekin
rah jaegi aahon ki hamein be-asari yaad
main wo hun ki parde mein tujhe dekh chuka hun
shayad ho tujhe meri wasia-un-nazari yaad
mai-KHana tha aur shaghl-e-mai-nab tha 'shair'
ab tak hai mujhe daman-e-zahid ki tari yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.