gulab chehra sharab raaten
gulāb chehra sharāb rāteñ
tirī 'atā haiñ ye ḳhvāb rāteñ
kahāñ ye bujhte charāġh kī lau
kahāñ ye 'izzat-ma.āb rāteñ
nikāliye vaqt banda-parvar
sañvāriye kuchh ḳharāb rāteñ
nayā nasha hai khulī saḌak par
nahā ke niklīñ 'azāb rāteñ
chalo badan par lapeTte haiñ
baras rahī māhtāb rāteñ
siyāhkāroñ ne phir du'ā kī
ḳhudā sañvāre ḳharāb rāteñ
ye baaġh hai muntazir tumhārā
khilī huī haiñ gulāb rāteñ
gulab chehra sharab raaten
teri 'ata hain ye KHwab raaten
kahan ye bujhte charagh ki lau
kahan ye 'izzat-maab raaten
nikaliye waqt banda-parwar
sanwariye kuchh KHarab raaten
naya nasha hai khuli saDak par
naha ke niklin 'azab raaten
chalo badan par lapeTte hain
baras rahi mahtab raaten
siyahkaron ne phir du'a ki
KHuda sanware KHarab raaten
ye bagh hai muntazir tumhaara
khili hui hain gulab raaten
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 95)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.