gulab-chehron ki shadmani ka kya banega
gulāb-chehroñ kī shādmānī kā kyā banegā
ki baaġh chhoḌā to bāġhbānī kā kyā banegā
hamāre aañsū kisī Thikāne to lag rahe haiñ
furāt ke bad-nasīb paanī kā kyā banegā
use zamāne kī fikr hai aur maiñ sochtā huuñ
hamārī uThtī huī javānī kā kyā banegā
tirī añgūThī hamārī uñglī jakaḌ chukī hai
tū jā rahā hai to is nishānī kā kyā banegā
ḳhudā kare ki hamāre hisse meñ tū na aa.e
jo tū milegā to rā.egānī kā kyā banegā
'hasan' maiñ senāpatī huuñ marne kā Dar nahīñ hai
maiñ sochtā huuñ ki rājā-rānī kā kyā banegā
gulab-chehron ki shadmani ka kya banega
ki bagh chhoDa to baghbani ka kya banega
hamare aansu kisi Thikane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib pani ka kya banega
use zamane ki fikr hai aur main sochta hun
hamari uThti hui jawani ka kya banega
teri anguThi hamari ungli jakaD chuki hai
tu ja raha hai to is nishani ka kya banega
KHuda kare ki hamare hisse mein tu na aae
jo tu milega to raegani ka kya banega
'hasan' main senapati hun marne ka Dar nahin hai
main sochta hun ki raja-rani ka kya banega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.