gulab ki rut se ja ke puchho the par mere pas titliyon ke
gulab ki rut se ja ke puchho the par mere pas titliyon ke
Naseem Makhmoori
MORE BYNaseem Makhmoori
gulāb kī rut se jā ke pūchho the par mire paas titliyoñ ke
magar vo chashm-e-zadan ki tauba pahāḌ TuuTe the badliyoñ ke
vo saarā ilzām sar pe le kar ḳhud apnī qātil Thahar chukī thī
hazār DhūñDo mirī qabā par nishāñ mileñge na uñgliyoñ ke
qusūr kis kā thā kaun jaane na ham hī samjhe na tum pe zāhir
kisī talab kā vajūd haiñ ham shigāf kahte haiñ pasliyoñ ke
na jaane kab be-sadā huā vo na jaane kab be-zarar huā vo
akelā tan is tarah thā us ke hoñ par judā jaise titliyoñ ke
hazār āñkhoñ ke tez nashtar mire badan meñ chubhe hue haiñ
raqīb āñkheñ samā ga.ī haiñ lage haiñ til mujh pe putliyoñ ke
vo aisā patthar thā jis ke andar hazār mausam chhupe hue the
hasīn lafzoñ ke sachche motī asiir the us kī uñgliyoñ ke
nasīm hī thī jo chal rahī thī thakan ke ehsās ko sameTe
hasīn ḳhushbū se paikaroñ ko to naaz uThāne the bijliyoñ ke
gulab ki rut se ja ke puchho the par mere pas titliyon ke
magar wo chashm-e-zadan ki tauba pahaD TuTe the badliyon ke
wo sara ilzam sar pe le kar KHud apni qatil Thahar chuki thi
hazar DhunDo meri qaba par nishan milenge na ungliyon ke
qusur kis ka tha kaun jaane na hum hi samjhe na tum pe zahir
kisi talab ka wajud hain hum shigaf kahte hain pasliyon ke
na jaane kab be-sada hua wo na jaane kab be-zarar hua wo
akela tan is tarah tha us ke hon par juda jaise titliyon ke
hazar aankhon ke tez nashtar mere badan mein chubhe hue hain
raqib aankhen sama gai hain lage hain til mujh pe putliyon ke
wo aisa patthar tha jis ke andar hazar mausam chhupe hue the
hasin lafzon ke sachche moti asir the us ki ungliyon ke
nasim hi thi jo chal rahi thi thakan ke ehsas ko sameTe
hasin KHushbu se paikaron ko to naz uThane the bijliyon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.