gulab-o-naz bu hai ya saman hai
gulāb-o-nāz bū hai yā saman hai
tirī hastī mujassam ik chaman hai
tujhī se hai chaman kī zeb-o-zīnat
tujhī se surḳh laale kā badan hai
tujhī se daftaroñ meñ haiñ bahāreñ
tujhī se kursiyoñ meñ bāñkpan hai
tujhī se gardanoñ meñ ḳham haiñ baaqī
tujhī se kund māthoñ par shikan hai
tujhī se raunaqeñ mahfil-ba-mahfil
tujhī se dil-kushā har anjuman hai
tujhī par ḳhatm hai shīrīñ-kalāmī
tujhī se aaj zinda ilm-o-fan hai
tire hāthoñ meñ al-qissa jahāñ hai
tire qadmoñ pe dhartī kyā gagan hai
gulab-o-naz bu hai ya saman hai
teri hasti mujassam ek chaman hai
tujhi se hai chaman ki zeb-o-zinat
tujhi se surKH lale ka badan hai
tujhi se daftaron mein hain bahaaren
tujhi se kursiyon mein bankpan hai
tujhi se gardanon mein KHam hain baqi
tujhi se kund mathon par shikan hai
tujhi se raunaqen mahfil-ba-mahfil
tujhi se dil-kusha har anjuman hai
tujhi par KHatm hai shirin-kalami
tujhi se aaj zinda ilm-o-fan hai
tere hathon mein al-qissa jahan hai
tere qadmon pe dharti kya gagan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.