gulabon ki tarah dil apna shabnam mein bhigote hain
gulāboñ kī tarah dil apnā shabnam meñ bhigote haiñ
mohabbat karne vaale ḳhūb-sūrat log hote haiñ
kisī ne jis tarah apne sitāroñ ko sajāyā hai
ġhazal ke reshmī dhāgoñ meñ yuuñ motī pirote haiñ
purāne mausamoñ ke nām-e-nāmī miTte jaate haiñ
kahīñ paanī kahīñ shabnam kahīñ aañsū se dhote haiñ
yahī andāz hai merā samandar fat.h karne kā
mirī kāġhaz kī kashtī meñ ka.ī jugnū bhī hote haiñ
sunā hai 'badr' sāhab mahfiloñ kī jaan hote the
bahut din se vo patthar haiñ na hañste haiñ na rote haiñ
gulabon ki tarah dil apna shabnam mein bhigote hain
mohabbat karne wale KHub-surat log hote hain
kisi ne jis tarah apne sitaron ko sajaya hai
ghazal ke reshmi dhagon mein yun moti pirote hain
purane mausamon ke nam-e-nami miTte jate hain
kahin pani kahin shabnam kahin aansu se dhote hain
yahi andaz hai mera samandar fath karne ka
meri kaghaz ki kashti mein kai jugnu bhi hote hain
suna hai 'badr' sahab mahfilon ki jaan hote the
bahut din se wo patthar hain na hanste hain na rote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.