gulabon ki tarah mahka to hoga
gulāboñ kī tarah mahkā to hogā
agar dil hai to dil dhaḌkā to hogā
ye saarā shahr hī ik ajnabī hai
magar phir bhī koī apnā to hogā
mire sar ko qalam karne se pahle
mire baare meñ kuchh sochā to hogā
jahāñ par koī bhī rahtā nahīñ hai
vahāñ rahne ko sannāTā to hogā
mire bhī vāste 'shāriq' ke dil meñ
koī na koī darvāza to hogā
gulabon ki tarah mahka to hoga
agar dil hai to dil dhaDka to hoga
ye sara shahr hi ek ajnabi hai
magar phir bhi koi apna to hoga
mere sar ko qalam karne se pahle
mere bare mein kuchh socha to hoga
jahan par koi bhi rahta nahin hai
wahan rahne ko sannaTa to hoga
mere bhi waste 'shaariq' ke dil mein
koi na koi darwaza to hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.