ghulam ki roz o shab ghulami mein kya kami thi
ġhulām kī roz o shab ġhulāmī meñ kyā kamī thī
kanīz ke iltifāt o ḳhūbī meñ kyā kamī thī
inheñ dar-e-ḳhvāb-gāh se kis liye haTāyā
muhāfizoñ kī vafā-shi'ārī meñ kyā kamī thī
jalāl-e-gītī satāñ se darbār kāñptā thā
muqarriboñ kī mizāj-fahmī meñ kyā kamī thī
girāñ guzartā thā kyuuñ tabī'at pe saath us kā
vazīr-zāde kī nukta-sanjī meñ kyā kamī thī
nashist meñ is qadar ta.ammul ba-vaqt-e-ruḳhsat
murassa' o musta'id savārī meñ kyā kamī thī
khaḌe the kyuuñ chaukīdār do-rūya neze thāme
mahal kī dīvār kī bulandī meñ kyā kamī thī
guzar na saktā thā koī ḳhvāja-sarā na bāñdī
haram ke rāzoñ kī pāsdārī meñ kyā kamī thī
na jaane sālār mutma.in kyuuñ nahīñ the 'yāsir'
sipāh ke 'azm o jāñ-sipārī meñ kyā kamī thī
ghulam ki roz o shab ghulami mein kya kami thi
kaniz ke iltifat o KHubi mein kya kami thi
inhen dar-e-KHwab-gah se kis liye haTaya
muhafizon ki wafa-shi'ari mein kya kami thi
jalal-e-giti satan se darbar kanpta tha
muqarribon ki mizaj-fahmi mein kya kami thi
giran guzarta tha kyun tabi'at pe sath us ka
wazir-zade ki nukta-sanji mein kya kami thi
nashist mein is qadar tammul ba-waqt-e-ruKHsat
murassa' o musta'id sawari mein kya kami thi
khaDe the kyun chaukidar do-ruya neze thame
mahal ki diwar ki bulandi mein kya kami thi
guzar na sakta tha koi KHwaja-sara na bandi
haram ke raazon ki pasdari mein kya kami thi
na jaane salar mutmain kyun nahin the 'yasir'
sipah ke 'azm o jaan-sipari mein kya kami thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.