ghulam wahm o guman ka nahin yaqin ka hun
ġhulām vahm o gumāñ kā nahīñ yaqīñ kā huuñ
zamīn merā sitāra hai maiñ zamīñ kā huuñ
vo aur hoñge parastār taḳht vāloñ ke
maiñ jāñ-nisār shah-e-boriyā-nashīñ kā huuñ
savād-e-rūh ke manzar madīna jaise haiñ
ḳhayāl aatā hai maiñ bhī yahīñ kahīñ kā huuñ
suno ki virse meñ baTtī huī amānat huuñ
maiñ haraf-e-sidq lab-e-sādiq-o-amīñ kā huuñ
bhaTak rahā huuñ ḳhalā ke sarāb-zāroñ meñ
maiñ koī sajda aqīdat-bharī jabīñ kā huuñ
ghulam wahm o guman ka nahin yaqin ka hun
zamin mera sitara hai main zamin ka hun
wo aur honge parastar taKHt walon ke
main jaan-nisar shah-e-boriya-nashin ka hun
sawad-e-ruh ke manzar madina jaise hain
KHayal aata hai main bhi yahin kahin ka hun
suno ki wirse mein baTti hui amanat hun
main haraf-e-sidq lab-e-sadiq-o-amin ka hun
bhaTak raha hun KHala ke sarab-zaron mein
main koi sajda aqidat-bhari jabin ka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.