ghulam-zadon mein koi ghulam hai hi nahin
ġhulām-zādoñ meñ koī ġhulām hai hī nahīñ
hamāre shahr meñ sach kā nizām hai hī nahīñ
ye log jald hī patthar meñ Dhalne vaale haiñ
yahāñ kisī se koī ham-kalām hai hī nahīñ
maiñ dekhtā huuñ unheñ aur guzartā jaatā huuñ
tamām chehre haiñ chehroñ ke naam hai hī nahīñ
tumhārī marzī hai rakh lo hameñ yā Thukrā do
hamāre paas mohabbat kā daam hai hī nahīñ
ye log use tirī tasvīr hī samajhte haiñ
par us ke jaisā koī ḳhush-kalām hai hī nahīñ
vahāñ pe ḳhvāboñ ko ḳhairāt kar ke chalte bano
jahāñ shu.ūr-e-halāl-o-harām hai hī nahīñ
zarā sī lahje kī narmī se maan jā.eñge
ki bigḌe logoñ kā koī imaam hai hī nahīñ
ghulam-zadon mein koi ghulam hai hi nahin
hamare shahr mein sach ka nizam hai hi nahin
ye log jald hi patthar mein Dhalne wale hain
yahan kisi se koi ham-kalam hai hi nahin
main dekhta hun unhen aur guzarta jata hun
tamam chehre hain chehron ke nam hai hi nahin
tumhaari marzi hai rakh lo hamein ya Thukra do
hamare pas mohabbat ka dam hai hi nahin
ye log use teri taswir hi samajhte hain
par us ke jaisa koi KHush-kalam hai hi nahin
wahan pe KHwabon ko KHairaat kar ke chalte bano
jahan shuur-e-halal-o-haram hai hi nahin
zara si lahje ki narmi se man jaenge
ki bigDe logon ka koi imam hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.