gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT
guloñ kā daur hai bulbul maze bahār meñ luuT
ḳhizāñ machāegī aate hī is dayār meñ luuT
kushūd-e-kār kī koshish meñ de na hirs ko daḳhl
shikast detī hai faujoñ ko kār-zār meñ luuT
lubhā.e saikḌoñ dil un ke ḳhāl-e-āriz ne
machā.e zañgiyoñ ne vādī-e-tatār meñ luuT
vo muntazim hai rahe jis kī juz-o-kul pe nazar
na kar sake koī gūñgīr kārobār meñ luuT
jahāñ meñ hotī hai ehsān kī jazā ehsān
savāb nekiyoñ ke daur-e-iḳhtiyār meñ luuT
'abas hai buuñd kā chūkā agar ghaḌe Dhalkā.e
hamesha naqd meñ vaarā hai yaañ udhār meñ luuT
kiye haiñ sheb ne sab jism ke qavā kamzor
shurūa ho ga.ī har samt is hisār meñ luuT
hujūm-e-yās meñ chhoḌ ai ummīd kishvar-e-dil
hai qatl-e-ām kā ġhul shahr meñ javār meñ luuT
bane vo fāteh-e-kaunain ḳhush ho tū jis se
ziyāda ganj-e-kavākib se ho shumār meñ luuT
dayār-e-dil meñ hai phir dāġh-e-ishq kā toḌā
junūñ matā-e-havas mausam-e-bahār meñ luuT
bharī hai taaza har ek sar meñ shor-o-shar kī havā
'ajab nahīñ jo mache bāġh-e-rozgār meñ luuT
'habīb' mashq-e-riyāzat se kho ke zañg-e-duī
maze visāl ke har dam firāq-e-yār meñ luuT
gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT
KHizan machaegi aate hi is dayar mein luT
kushud-e-kar ki koshish mein de na hirs ko daKHl
shikast deti hai faujon ko kar-zar mein luT
lubhae saikDon dil un ke KHal-e-ariz ne
machae zangiyon ne wadi-e-tatar mein luT
wo muntazim hai rahe jis ki juz-o-kul pe nazar
na kar sake koi gungir karobar mein luT
jahan mein hoti hai ehsan ki jaza ehsan
sawab nekiyon ke daur-e-iKHtiyar mein luT
'abas hai bund ka chuka agar ghaDe Dhalkae
hamesha naqd mein wara hai yan udhaar mein luT
kiye hain sheb ne sab jism ke qawa kamzor
shurua ho gai har samt is hisar mein luT
hujum-e-yas mein chhoD ai ummid kishwar-e-dil
hai qatl-e-am ka ghul shahr mein jawar mein luT
bane wo fateh-e-kaunain KHush ho tu jis se
ziyaada ganj-e-kawakib se ho shumar mein luT
dayar-e-dil mein hai phir dagh-e-ishq ka toDa
junun mata-e-hawas mausam-e-bahaar mein luT
bhari hai taza har ek sar mein shor-o-shar ki hawa
'ajab nahin jo mache bagh-e-rozgar mein luT
'habib' mashq-e-riyazat se kho ke zang-e-dui
maze visal ke har dam firaq-e-yar mein luT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.