gulon ka rang kali ka shabab mange hai
guloñ kā rang kalī kā shabāb māñge hai
nigāh-e-shauq bhī kyā intiḳhāb māñge hai
jo tujh se mujh se ḳhafā ho ga.e haiñ sadiyoñ se
nigāh phir unhīñ lamho kā ḳhvāb māñge hai
kisī ko kuchh bhī nahīñ mil sakā zamāne meñ
jise milā hai vo kyoñ be-hisāb māñge hai
ab is se baḌh ke taraqqī kā daur kyā hogā
haram meñ baiTh ke zāhid sharāb māñge hai
ab aisī zid kā bhalā kyā ilaaj hogā 'ziyā'
vo māhtāb hai aur āftāb māñge hai
gulon ka rang kali ka shabab mange hai
nigah-e-shauq bhi kya intiKHab mange hai
jo tujh se mujh se KHafa ho gae hain sadiyon se
nigah phir unhin lamho ka KHwab mange hai
kisi ko kuchh bhi nahin mil saka zamane mein
jise mila hai wo kyon be-hisab mange hai
ab is se baDh ke taraqqi ka daur kya hoga
haram mein baiTh ke zahid sharab mange hai
ab aisi zid ka bhala kya ilaj hoga 'ziya'
wo mahtab hai aur aaftab mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.