gulon ka sina-figar kaisa rawish-rawish par ghubar kaisa
gulon ka sina-figar kaisa rawish-rawish par ghubar kaisa
Birj Lal Raana
MORE BYBirj Lal Raana
guloñ kā sīna-figār kaisā ravish-ravish par ġhubār kaisā
mire chaman ke muhāfizo ye nayā nizām-e-bahār kaisā
havā-e-bāda meñ talḳhiyoñ se gurez mumkin nahīñ hai hargiz
ye zindagānī meñ zindagānī kī kashmakash se farār kaisā
jo dil kī ThanDak bane hue the vahī diloñ ko jalā rahe haiñ
havā-e-gulshan ne bhar diyā hai guloñ meñ rang-e-sharār kaisā
jahāñ umīdoñ kī raushnī thī vahāñ ye hasrat kī zulmateñ kyoñ
jahāñ sunahre mahal khaḌe the vahāñ ye suunā mazār kaisā
nikal ke dāmān-e-gul se kāñToñ meñ DhūñDhte ho panāh 'rā'nā'
ye pyaar se nafrateñ haiñ kaisī ye nafratoñ se hai pyaar kaisā
gulon ka sina-figar kaisa rawish-rawish par ghubar kaisa
mere chaman ke muhafizo ye naya nizam-e-bahaar kaisa
hawa-e-baada mein talKHiyon se gurez mumkin nahin hai hargiz
ye zindagani mein zindagani ki kashmakash se farar kaisa
jo dil ki ThanDak bane hue the wahi dilon ko jala rahe hain
hawa-e-gulshan ne bhar diya hai gulon mein rang-e-sharar kaisa
jahan umidon ki raushni thi wahan ye hasrat ki zulmaten kyon
jahan sunahre mahal khaDe the wahan ye suna mazar kaisa
nikal ke daman-e-gul se kanTon mein DhunDhte ho panah 'ra'na'
ye pyar se nafraten hain kaisi ye nafraton se hai pyar kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.