gulon ki aankh mein kanTa paDa hai
guloñ kī aañkh meñ kāñTā paḌā hai
ye sahrā.ī safīne aa paḌā hai
lahū kī chhab hai siine kī ravānī
pe is chhīñTe meñ kul dariyā paḌā hai
palaT aa.e haiñ le kar arsh se ḳhaak
ye sīdhā ram hameñ ulTā paḌā hai
zamīñ par aa girā mahtāb kā haath
sitāroñ kā jigar TuuTā paḌā hai
havā.ī shahr meñ be-sudh hai sūraj
gharoñ par shaam kā saayā paḌā hai
pighaltī chāñdnī bahtī phire hai
adan kā nuur dil meñ aa paḌā hai
gulon ki aankh mein kanTa paDa hai
ye sahrai safine aa paDa hai
lahu ki chhab hai sine ki rawani
pe is chhinTe mein kul dariya paDa hai
palaT aae hain le kar arsh se KHak
ye sidha ram hamein ulTa paDa hai
zamin par aa gira mahtab ka hath
sitaron ka jigar TuTa paDa hai
hawai shahr mein be-sudh hai suraj
gharon par sham ka saya paDa hai
pighalti chandni bahti phire hai
adan ka nur dil mein aa paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.