gulon ki baat chali zikr-e-nau-bahaar chala
guloñ kī baat chalī zikr-e-nau-bahār chalā
sukūñ gayā to kabhī chhoḌ kar qarār chalā
milā na chain junūñ ko kahīñ Thaharne meñ
farāz-e-dār pe bhī us kā kārobār chalā
rahā hai ġham se ajab rabt apnī hastī kā
kahīñ gayā maiñ ye hamrāh ġham-gusār chalā
junūñ kā raqs kahīñ raqs mah-jabīnoñ kā
kahīñ udaas kahīñ koī ashk-bār chalā
sukūñ milā to milā dil ko dasht-e-vahshat meñ
kahāñ ḳhirad kā bayābāñ meñ kārobār chalā
ḳhizāñ kī baat chalī zikr bhī chalā gul kā
chaman fasurda bhī āzurda sabza-zār chalā
kahāñ chalā kabhī jaadū parī-jamāloñ kā
kisī kā kab hai mire dil pe koī vaar chalā
gulon ki baat chali zikr-e-nau-bahaar chala
sukun gaya to kabhi chhoD kar qarar chala
mila na chain junun ko kahin Thaharne mein
faraaz-e-dar pe bhi us ka karobar chala
raha hai gham se ajab rabt apni hasti ka
kahin gaya main ye hamrah gham-gusar chala
junun ka raqs kahin raqs mah-jabinon ka
kahin udas kahin koi ashk-bar chala
sukun mila to mila dil ko dasht-e-wahshat mein
kahan KHirad ka bayaban mein karobar chala
KHizan ki baat chali zikr bhi chala gul ka
chaman fasurda bhi aazurda sabza-zar chala
kahan chala kabhi jadu pari-jamalon ka
kisi ka kab hai mere dil pe koi war chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.