gulon ki gar inayat ho gai to
guloñ kī gar ināyat ho ga.ī to
unheñ ham se mohabbat ho ga.ī to
hameñ kyuuñ sauñptā hai daulat-e-husn
amānat meñ ḳhayānat ho ga.ī to
kisī kī bekasī pe hañsne vaale
tirī bhī aisī hālat ho ga.ī to
mujhe tū mujh se baḌh kar chāhtā hai
mirī ḳhud se adāvat ho ga.ī to
na lag hoñThoñ se cigarette kī tarah tū
agar mujh ko tirī lat ho ga.ī to
tū ḳhud ko bad-duā detā hai aksar
ḳhudā ke ghar samā.at ho ga.ī to
gulon ki gar inayat ho gai to
unhen hum se mohabbat ho gai to
hamein kyun saunpta hai daulat-e-husn
amanat mein KHayanat ho gai to
kisi ki bekasi pe hansne wale
teri bhi aisi haalat ho gai to
mujhe tu mujh se baDh kar chahta hai
meri KHud se adawat ho gai to
na lag honThon se cigarette ki tarah tu
agar mujh ko teri lat ho gai to
tu KHud ko bad-dua deta hai aksar
KHuda ke ghar samaat ho gai to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.