gulon ki mahak chand taron ki KHushbu
guloñ kī mahak chāñd tāroñ kī ḳhushbū
nazar saath laa.ī nazāroñ kī ḳhushbū
zamīñ ke qadam chāñd se lauT aa.e
muqaddar na thī māh-pāroñ kī ḳhushbū
safīna abhī sail-e-amvāj meñ hai
magar aa rahī hai kināroñ kī ḳhushbū
pas-e-kārvān-e-vafā rah ga.ī hai
ta'alluq ke bichhḌe ġhubāroñ kī ḳhushbū
chaman kī fazāoñ meñ huuñ 'shān' lekin
kahīñ kho ga.ī hai bahāroñ kī ḳhushbū
gulon ki mahak chand taron ki KHushbu
nazar sath lai nazaron ki KHushbu
zamin ke qadam chand se lauT aae
muqaddar na thi mah-paron ki KHushbu
safina abhi sail-e-amwaj mein hai
magar aa rahi hai kinaron ki KHushbu
pas-e-karwan-e-wafa rah gai hai
ta'alluq ke bichhDe ghubaron ki KHushbu
chaman ki fazaon mein hun 'shan' lekin
kahin kho gai hai bahaaron ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.