gulon ko shoala mizaji sikhai jati hai
guloñ ko sho.ala mizājī sikhā.ī jaatī hai
chaman kī aag chaman meñ lagā.ī jaatī hai
junūn-e-firqa-parastī are ma.āz-allāh
har ik qadam pe qayāmat uThā.ī jaatī hai
vo aag jis ne mire gulsitāñ ko phūñk diyā
nigāh-e-shaiḳh-o-barahman meñ paa.ī jaatī hai
hamīñ pe ḳhatm nahīñ kufr-e-ishq ai nāseh
butoñ ke saath ḳhudā kī ḳhudā.ī jaatī hai
nahīñ ye ġham ki rasā nāla-e-hazīñ na hue
falak pe aaj mirī nā-rasā.ī jaatī hai
ab un ke qaul-o-qasam par nahīñ hai dil ko yaqīñ
sitamgaroñ se kahīñ bevafā.ī jaatī hai
in āñsuoñ ko na kar rā.egāñ are nādāñ
kahīñ ye daulat-e-ġham yuuñ luTā.ī jaatī hai
mafar shamātat-e-ham-sāya se 'jamāl' nahīñ
ye barq girtī nahīñ hai girā.ī jaatī hai
gulon ko shoala mizaji sikhai jati hai
chaman ki aag chaman mein lagai jati hai
junun-e-firqa-parasti are maaz-allah
har ek qadam pe qayamat uThai jati hai
wo aag jis ne mere gulsitan ko phunk diya
nigah-e-shaiKH-o-barahman mein pai jati hai
hamin pe KHatm nahin kufr-e-ishq ai naseh
buton ke sath KHuda ki KHudai jati hai
nahin ye gham ki rasa nala-e-hazin na hue
falak pe aaj meri na-rasai jati hai
ab un ke qaul-o-qasam par nahin hai dil ko yaqin
sitamgaron se kahin bewafai jati hai
in aansuon ko na kar raegan are nadan
kahin ye daulat-e-gham yun luTai jati hai
mafar shamatat-e-ham-saya se 'jamal' nahin
ye barq girti nahin hai girai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.