gulon ko sunna zara tum sadaen bheji hain
guloñ ko sunñā zarā tum sadā.eñ bhejī haiñ
guloñ ke haath bahut sī duā.eñ bhejī haiñ
jo āftāb kabhī bhī ġhurūb hotā nahīñ
hamārā dil hai usī kī shuā.eñ bhejī haiñ
agar jalā.e tumheñ bhī shifā mile shāyad
ik aise dard kī tum ko shuā.eñ bhejī haiñ
tumhārī ḳhushk sī āñkheñ bhalī nahīñ lagtīñ
vo saarī chīzeñ jo tum ko rulā.eñ, bhejī haiñ
siyāh rañg chamaktī huī kanārī hai
pahan lo achchhī lageñgī ghaTā.eñ bhejī haiñ
tumhāre ḳhvāb se har shab lipaT ke sote haiñ
sazā.eñ bhej do ham ne ḳhatā.eñ bhejī haiñ
akelā pattā havā meñ bahut buland uḌā
zamīñ se paañv uThāo havā.eñ bhejī haiñ
gulon ko sunna zara tum sadaen bheji hain
gulon ke hath bahut si duaen bheji hain
jo aaftab kabhi bhi ghurub hota nahin
hamara dil hai usi ki shuaen bheji hain
agar jalae tumhein bhi shifa mile shayad
ek aise dard ki tum ko shuaen bheji hain
tumhaari KHushk si aankhen bhali nahin lagtin
wo sari chizen jo tum ko rulaen, bheji hain
siyah rang chamakti hui kanari hai
pahan lo achchhi lagengi ghaTaen bheji hain
tumhaare KHwab se har shab lipaT ke sote hain
sazaen bhej do hum ne KHataen bheji hain
akela patta hawa mein bahut buland uDa
zamin se panw uThao hawaen bheji hain
- Book : Yaar Julahe (Pg. 142)
- Author : Gulzar
- Publication : Vaniprakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.