gulon ko tazgi taron ko tu ne dilkashi de di
guloñ ko tāzgī tāroñ ko tū ne dilkashī de dī
mire dil kī kalī ko jaane kyoñ afsurdagī diidī
ba-qadr-e-zarf us ne āgahī-o-gumrahī de dī
ḳhudī de dī kisī ko aur kisī ko be-ḳhudī de dī
zamāna kuchh kahe ai dost lekin shukriya terā
koī to maslahat thī jo mujhe dīvāngī de dī
mirī nākāmiyāñ hī kaam aa.iiñ rāh-e-ulfat meñ
ġhubār-e-kārvāñ ne himmat-e-manzil-rasī de dī
na pūchh ai ham-nashīñ āzurda-e-anjām-e-ishrat ho
ġham is kā kar rahā huuñ us ne kyoñ mujh ko ḳhushī de dī
kisī kī pursish-e-ḳhāmosh bhī ik husn-e-pursish thā
ki jis ne phir hamārī zindagī ko zindagī de dī
haqīqat meñ junūn-e-ishq me.arāj-e-mohabbat hai
use sab kuchh diyā tū ne jise dīvāngī de dī
dam-e-āḳhir jo dam bhar ko chale aaoge bālīñ par
to ye samjhūñgā maiñ lākhoñ baras kī zindagī de dī
zarūrat iltijāoñ kī na hājat hai duāoñ kī
'shifā' ġham kyā diyā us ne masarrat dā.imī de dī
gulon ko tazgi taron ko tu ne dilkashi de di
mere dil ki kali ko jaane kyon afsurdagi didi
ba-qadr-e-zarf us ne aagahi-o-gumrahi de di
KHudi de di kisi ko aur kisi ko be-KHudi de di
zamana kuchh kahe ai dost lekin shukriya tera
koi to maslahat thi jo mujhe diwangi de di
meri nakaamiyan hi kaam aain rah-e-ulfat mein
ghubar-e-karwan ne himmat-e-manzil-rasi de di
na puchh ai ham-nashin aazurda-e-anjam-e-ishrat ho
gham is ka kar raha hun us ne kyon mujh ko KHushi de di
kisi ki pursish-e-KHamosh bhi ek husn-e-pursish tha
ki jis ne phir hamari zindagi ko zindagi de di
haqiqat mein junun-e-ishq mearaj-e-mohabbat hai
use sab kuchh diya tu ne jise diwangi de di
dam-e-aKHir jo dam bhar ko chale aaoge baalin par
to ye samjhunga main lakhon baras ki zindagi de di
zarurat iltijaon ki na hajat hai duaon ki
'shifa' gham kya diya us ne masarrat daimi de di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.