gulon mein jis tarah KHushbu bahut zaruri hai
gulon mein jis tarah KHushbu bahut zaruri hai
Husain Khan Jhanjhat
MORE BYHusain Khan Jhanjhat
guloñ meñ jis tarah ḳhushbū bahut zarūrī hai
usī tarah hameñ urdu bahut zarūrī hai
na māl-o-zar kī tamanna na jāh-o-mansab kī
mirī hayāt meñ bas tū bahut zarūrī hai
hai talḳh bol se dil TūTne kā andesha
zabāñ pe is liye qaabū bahut zarūrī hai
qarīb ā.eñge dushman bhī terī dāvat par
tire kalām meñ ḳhushbū bahut zarūrī hai
amal ho aisā jo īmāñ kī tarjumānī kare
ḳhud apnī zaat meñ ye ḳhū bahut zarūrī hai
baġhair ilm ke manzil na pā sakoge tum
añdherī raat meñ jugnū bahut zarūrī hai
zamāne bhar kī zabānoñ se ham ko kyā 'jhanjhaT'
hamāre vāste urdu bahut zarūrī hai
gulon mein jis tarah KHushbu bahut zaruri hai
usi tarah hamein urdu bahut zaruri hai
na mal-o-zar ki tamanna na jah-o-mansab ki
meri hayat mein bas tu bahut zaruri hai
hai talKH bol se dil TuTne ka andesha
zaban pe is liye qabu bahut zaruri hai
qarib aaenge dushman bhi teri dawat par
tere kalam mein KHushbu bahut zaruri hai
amal ho aisa jo iman ki tarjumani kare
KHud apni zat mein ye KHu bahut zaruri hai
baghair ilm ke manzil na pa sakoge tum
andheri raat mein jugnu bahut zaruri hai
zamane bhar ki zabanon se hum ko kya 'jhanjhaT'
hamare waste urdu bahut zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.