gulon mein rangat thi shoKHiyan thin
guloñ meñ rangat thī shoḳhiyāñ thiiñ
jo saath tum the to mastiyāñ thiiñ
laboñ pe shabnam laraz rahī thī
magar nigāhoñ meñ bijliyāñ thiiñ
hameñ qamar se gila nahīñ thā
hamārī dushman to khiḌkiyāñ thiiñ
jinheñ samajhte the naqsh-e-pā tum
mirī vafā kī nishāniyāñ thiiñ
vahī zamāne se nā-umīdī
sunī-sunā.ī kahāniyāñ thiiñ
gulon mein rangat thi shoKHiyan thin
jo sath tum the to mastiyan thin
labon pe shabnam laraz rahi thi
magar nigahon mein bijliyan thin
hamein qamar se gila nahin tha
hamari dushman to khiDkiyan thin
jinhen samajhte the naqsh-e-pa tum
meri wafa ki nishaniyan thin
wahi zamane se na-umidi
suni-sunai kahaniyan thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.