gulon par kis ki rangat chha gai hai
guloñ par kis kī rañgat chhā ga.ī hai
jo ḳhushbū sab chaman mahkā ga.ī hai
ye kyā mas.hūr karne vaalī dhun hai
sabā kis ke ye naġhme gā ga.ī hai
dhanak yuuñ āsmāñ par tan ga.ī hai
tirī sūrat ufuq ko bhā ga.ī hai
jo ab sarshār hai terī mohabbat
mirā ik raaz ye bhī pā ga.ī hai
hameñ kuchh aur ab karnā paḌegā
mohabbat sab ko karnā aa ga.ī hai
gulon par kis ki rangat chha gai hai
jo KHushbu sab chaman mahka gai hai
ye kya mashur karne wali dhun hai
saba kis ke ye naghme ga gai hai
dhanak yun aasman par tan gai hai
teri surat ufuq ko bha gai hai
jo ab sarshaar hai teri mohabbat
mera ek raaz ye bhi pa gai hai
hamein kuchh aur ab karna paDega
mohabbat sab ko karna aa gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.