gulon pe saya-e-gham-ha-e-rozgar mile
guloñ pe sāya-e-ġham-hā-e-rozgār mile
bharī bahār ke chehre bhī sogvār mile
sajā de un ke garebāñ ko māh-o-anjum se
hamāre dast-e-junūñ ko jo iḳhtiyār mile
hazār daaġh uThā kar chaman khilātī hai
kahīñ zamīñ ko jo ahl-e-zamīñ kā pyaar mile
hamāre paas hai kyā daulat-e-junūñ ke sivā
nisār chaak garebāñ agar bahār mile
ye vāqi.a hai ki nāseh kī zid meñ baat baḌhī
jo ek baar na milte vo bār-bār mile
mizha ke ashk tamannā ke zaḳhm yaad ke phuul
ka.ī charāġh sar-e-shām-e-intizār mile
sahar se dair o haram par jo bahs karte haiñ
vo mai-kade meñ sar-e-shām ham-kanār mile
ham apne chehra-e-fan kā nikhār kyā dekheñ
ki aa.ine bhī to ālūda-e-ġhubār mile
sunīñ to ābla-pā.ī kī dāstāñ lekin
kahāñ 'shamīm' sā āshufta-e-bahār mile
gulon pe saya-e-gham-ha-e-rozgar mile
bhari bahaar ke chehre bhi sogwar mile
saja de un ke gareban ko mah-o-anjum se
hamare dast-e-junun ko jo iKHtiyar mile
hazar dagh uTha kar chaman khilati hai
kahin zamin ko jo ahl-e-zamin ka pyar mile
hamare pas hai kya daulat-e-junun ke siwa
nisar chaak gareban agar bahaar mile
ye waqia hai ki naseh ki zid mein baat baDhi
jo ek bar na milte wo bar-bar mile
mizha ke ashk tamanna ke zaKHm yaad ke phul
kai charagh sar-e-sham-e-intizar mile
sahar se dair o haram par jo bahs karte hain
wo mai-kade mein sar-e-sham ham-kanar mile
hum apne chehra-e-fan ka nikhaar kya dekhen
ki aaine bhi to aaluda-e-ghubar mile
sunin to aabla-pai ki dastan lekin
kahan 'shamim' sa aashufta-e-bahaar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.