gulon pe shabnam nahin lahu hai
guloñ pe shabnam nahīñ lahū hai
ye kaisī sauġhāt-e-rañg-o-bū hai
bahār ḳhanjar-ba-dast aa.ī
har ek manzar lahū lahū hai
koī tamannā nahīñ hai mujh ko
sukūn-e-dil kī hī aarzū hai
maiñ ik muddat se lāpata huuñ
mujhe ḳhud apnī hī justujū hai
ye be-dilī kī namāz terī
gumān hotā hai be-vuzū hai
is ko aksar maiñ sochtā huuñ
mirī ġhazal kī jo aabrū hai
mirā nahīñ hai 'asad' ye chehra
to kaun shīshe meñ rū-ba-rū hai
gulon pe shabnam nahin lahu hai
ye kaisi saughat-e-rang-o-bu hai
bahaar KHanjar-ba-dast aai
har ek manzar lahu lahu hai
koi tamanna nahin hai mujh ko
sukun-e-dil ki hi aarzu hai
main ek muddat se lapata hun
mujhe KHud apni hi justuju hai
ye be-dili ki namaz teri
guman hota hai be-wuzu hai
is ko aksar main sochta hun
meri ghazal ki jo aabru hai
mera nahin hai 'asad' ye chehra
to kaun shishe mein ru-ba-ru hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.