gulon se ishq gulistan se pyar karte rahe
guloñ se ishq gulistāñ se pyaar karte rahe
bharī ḳhizāñ meñ bhī zikr-e-bahār karte rahe
hamārī be-ḳhudī-e-shauq kī na pūchho ki ham
tire qarīb tirā intizār karte rahe
kisī ke dast-e-hinā.ī kā aasrā le kar
hifāzat-e-ġham-e-lail-o-nahār karte rahe
zamāna yuuñ bhī kabhī apne saath chal na sakā
magar zamāne kā ham e.atibār karte rahe
tumhārī yaad se vābasta talḳhiyāñ hī rahīñ
tumhārā zikr magar baar baar karte rahe
baḌe salīqe se pahuñche haiñ aaj manzil par
jo terī rāhguzar iḳhtiyār karte rahe
ġhazal kī aaḌ meñ 'hasrat' ġhazal ke saudā.ī
ḳhud apne dāġh-e-jigar āshkār karte rahe
gulon se ishq gulistan se pyar karte rahe
bhari KHizan mein bhi zikr-e-bahaar karte rahe
hamari be-KHudi-e-shauq ki na puchho ki hum
tere qarib tera intizar karte rahe
kisi ke dast-e-hinai ka aasra le kar
hifazat-e-gham-e-lail-o-nahaar karte rahe
zamana yun bhi kabhi apne sath chal na saka
magar zamane ka hum eatibar karte rahe
tumhaari yaad se wabasta talKHiyan hi rahin
tumhaara zikr magar bar bar karte rahe
baDe saliqe se pahunche hain aaj manzil par
jo teri rahguzar iKHtiyar karte rahe
ghazal ki aaD mein 'hasrat' ghazal ke saudai
KHud apne dagh-e-jigar aashkar karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.