gulshan-e-dahr ki faza ab nahin sogwar kya
gulshan-e-dahr ki faza ab nahin sogwar kya
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
gulshan-e-dahr kī fazā ab nahīñ sogvār kyā
daur-e-ḳhizāñ se ho ga.ī ohda-barā bahār kyā
mahram-e-zāt to nahīñ aks-e-sifāt-e-zāt huuñ
merā vajūd vahm hai vahm kā e.atibār kyā
sāz-e-hayāt meñ na ho naġhma-e-soz-e-dil agar
phir ye gudāz-e-dard kyā phir ġham-e-ishq-e-yār kyā
apnī ḳhudī ko kar buland apnī ḳhudī se kaam le
aaj kā e.atibār kar kal pe hai iḳhtiyār kyā
gulshan-e-dahr ki faza ab nahin sogwar kya
daur-e-KHizan se ho gai ohda-bara bahaar kya
mahram-e-zat to nahin aks-e-sifat-e-zat hun
mera wajud wahm hai wahm ka eatibar kya
saz-e-hayat mein na ho naghma-e-soz-e-dil agar
phir ye gudaz-e-dard kya phir gham-e-ishq-e-yar kya
apni KHudi ko kar buland apni KHudi se kaam le
aaj ka eatibar kar kal pe hai iKHtiyar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.