gulshan gulshan KHak uDi aur viranon mein phul khile
gulshan gulshan KHak uDi aur viranon mein phul khile
Murtaza Ali Shad
MORE BYMurtaza Ali Shad
gulshan gulshan ḳhaak uḌī aur vīrānoñ meñ phuul khile
ab ke baras yuuñ mausam badlā zindānoñ meñ phuul khile
ḳhushbū rut ne jaate jaate dil par aisī dastak dī
bhūlī bisrī yādeñ jāgīñ gul-dānoñ meñ phuul khile
jū-e-lahū āñkhoñ se phūTī kisht-e-vafā sairāb huī
ḳhūn-e-gulū jab dasht pe chamkā afsānoñ meñ phuul khile
Duub sako to pyaar kā sāgar aaj bhī hai pāyāb bahut
sāhil se kyā dekh sakoge tūfānoñ meñ phuul khile
aaj achānak is kūche meñ le aa.e āvāra qadam
jis kūche meñ barsoñ guzre armānoñ meñ phuul khile
ḳhvāb hue vo din jab dil kī bātoñ meñ aa jaate the
ab to ye bhī yaad nahīñ kab paimānoñ meñ phuul khile
gulshan gulshan KHak uDi aur viranon mein phul khile
ab ke baras yun mausam badla zindanon mein phul khile
KHushbu rut ne jate jate dil par aisi dastak di
bhuli bisri yaaden jagin gul-danon mein phul khile
ju-e-lahu aankhon se phuTi kisht-e-wafa sairab hui
KHun-e-gulu jab dasht pe chamka afsanon mein phul khile
Dub sako to pyar ka sagar aaj bhi hai payab bahut
sahil se kya dekh sakoge tufanon mein phul khile
aaj achanak is kuche mein le aae aawara qadam
jis kuche mein barson guzre armanon mein phul khile
KHwab hue wo din jab dil ki baaton mein aa jate the
ab to ye bhi yaad nahin kab paimanon mein phul khile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.