gulshan-gulshan zikr hai un ka
gulshan-gulshan zikr hai un kā
mahfil-mahfil charchā hai
jab se shahar meñ aa.e haiñ vo
hangāma sā barpā hai
āñkheñ jaise gul nargis ke
chaal ġhazāloñ jaisī hai
chehra dekh ke sochā sab ne
chāñd zamīñ par utrā hai
phīkī hai muskān kalī kī
un ke tabassum ke aage
komal komal se gāloñ kā
rang shafaq se gahrā hai
sab se sundar lagtī hai vo
jo nādīda sūrat hai
har ik aañkh Tikī hai us par
jis chehre par pardā hai
bholī-bhālī sab se nyārī
sūratiyā vo pyārī pyārī
āñkheñ tak-tak thak jaatī haiñ
lekin dil kab bhartā hai
us ne hī sab dard diye jo
Dhal-Dhal kar haiñ giit bane
ik-ik she'r 'sadā' hai us kā
ik-ik naġhma us kā hai
gulshan-gulshan zikr hai un ka
mahfil-mahfil charcha hai
jab se shahar mein aae hain wo
hangama sa barpa hai
aankhen jaise gul nargis ke
chaal ghazalon jaisi hai
chehra dekh ke socha sab ne
chand zamin par utra hai
phiki hai muskan kali ki
un ke tabassum ke aage
komal komal se galon ka
rang shafaq se gahra hai
sab se sundar lagti hai wo
jo nadida surat hai
har ek aankh Tiki hai us par
jis chehre par parda hai
bholi-bhaali sab se nyari
suratiya wo pyari pyari
aankhen tak-tak thak jati hain
lekin dil kab bharta hai
us ne hi sab dard diye jo
Dhal-Dhal kar hain git bane
ik-ik she'r 'sada' hai us ka
ik-ik naghma us ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.