gulshan ke gul hain chaak-e-gareban tere baghair
gulshan ke gul haiñ chāk-e-garebāñ tire baġhair
ujḌī huī hai bazm-e-gulistāñ tire baġhair
aa jā ki merā dil hai pareshāñ tire baġhair
phir chashm-e-intizār hai giryāñ tire baġhair
be-kaif zindagī hai to har har nafas hai baar
hogā na dil mirā kabhī ḳhandāñ tire baġhair
mamnūn-e-iltifāt huuñ ai jazb-e-dil tirā
paatā hai kaun manzil-e-irfāñ tire baġhair
ai daur-e-inqilāb koī aur inqalāb
bhātī nahīñ bahār-e-gulistāñ tire baġhair
zulmat-kade meñ dil ke mire ai ġham-e-habīb
raushan huī na sham-e-farozāñ tire baġhair
mastī bharī nigāh se saaqī pilā sharāb
be-kaif sī hai mahfil-e-rindāñ tire baġhair
'aslam' ko shikva-e-ġham-e-daurāñ na ho magar
miltā nahīñ sukūñ ġham-e-jānāñ tire baġhair
gulshan ke gul hain chaak-e-gareban tere baghair
ujDi hui hai bazm-e-gulistan tere baghair
aa ja ki mera dil hai pareshan tere baghair
phir chashm-e-intizar hai giryan tere baghair
be-kaif zindagi hai to har har nafas hai bar
hoga na dil mera kabhi KHandan tere baghair
mamnun-e-iltifat hun ai jazb-e-dil tera
pata hai kaun manzil-e-irfan tere baghair
ai daur-e-inqilab koi aur inqalab
bhati nahin bahaar-e-gulistan tere baghair
zulmat-kade mein dil ke mere ai gham-e-habib
raushan hui na sham-e-farozan tere baghair
masti bhari nigah se saqi pila sharab
be-kaif si hai mahfil-e-rindan tere baghair
'aslam' ko shikwa-e-gham-e-dauran na ho magar
milta nahin sukun gham-e-jaanan tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.