gulshan mein abhi jashn ka hangam nahin hai
gulshan meñ abhī jashn kā hañgām nahīñ hai
gardish meñ abhī gardish-e-ayyām nahīñ hai
pheñkī to haiñ ham ne bhī sitāroñ pe kamandeñ
parvāz abhī apnī lab-e-bām nahīñ hai
har gosha chaman kā mujhe maqtal sā lagā hai
DhūñDe se bhī qātil kā kahīñ naam nahīñ hai
kaliyoñ ke laboñ par abhī phīkā hai tabassum
phūloñ meñ abhī nāma-o-paiġhām nahīñ hai
hai tez bahut qāfila-e-sub.h-e-bahārāñ
āġhāz to har chiiz kā anjām nahīñ hai
gulshan mein abhi jashn ka hangam nahin hai
gardish mein abhi gardish-e-ayyam nahin hai
phenki to hain hum ne bhi sitaron pe kamanden
parwaz abhi apni lab-e-baam nahin hai
har gosha chaman ka mujhe maqtal sa laga hai
DhunDe se bhi qatil ka kahin nam nahin hai
kaliyon ke labon par abhi phika hai tabassum
phulon mein abhi nama-o-paigham nahin hai
hai tez bahut qafila-e-subh-e-bahaaran
aaghaz to har chiz ka anjam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.