gulshan mein koi chaak-e-gareban bhi nahin hai
gulshan meñ koī chāk-e-garebāñ bhī nahīñ hai
aur fasl-e-bahār aane kā imkāñ bhī nahīñ hai
ham naqd-e-dil-o-jāñ bhī luTā aa.e sar-e-bazm
aur aap pe is kā koī ehsāñ bhī nahīñ hai
kis muñh se kare tere taġhāful kī shikāyat
jis par karam-e-gardish-e-daurāñ bhī nahīñ hai
pūchhe jo koī haal to kyā haal batā.e
vo shaḳhs jo kuchh din se pareshāñ bhī nahīñ hai
vo dard mayassar hai to kyā chāhiye 'nashtar'
vo dard ki jis kā koī darmāñ bhī nahīñ hai
gulshan mein koi chaak-e-gareban bhi nahin hai
aur fasl-e-bahaar aane ka imkan bhi nahin hai
hum naqd-e-dil-o-jaan bhi luTa aae sar-e-bazm
aur aap pe is ka koi ehsan bhi nahin hai
kis munh se kare tere taghaful ki shikayat
jis par karam-e-gardish-e-dauran bhi nahin hai
puchhe jo koi haal to kya haal batae
wo shaKHs jo kuchh din se pareshan bhi nahin hai
wo dard mayassar hai to kya chahiye 'nashtar'
wo dard ki jis ka koi darman bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.