gulshan mein rang-o-nur ke paikar mein kaun hai
gulshan meñ rang-o-nūr ke paikar meñ kaun hai
ḳhushbū meñ koñpaloñ meñ gul-e-tar meñ kaun hai
ye kaun sā maqām hai ḳhidmat kā ai ḳhudā
jārūb-kash ye ḳhāna-e-be-zar meñ kaun hai
maujeñ taḌap rahī haiñ kināre haiñ zer-e-āb
mazlūm ab jahān-e-samundar meñ kaun hai
qaa.em tujhī se jab ki urūj-o-zavāl hai
ai vaqt tū hī bol ki chakkar meñ kaun hai
nazroñ kī sīḌhiyoñ se utartā hai dil meñ kaun
ḳhushbū kī tarah ruuh ke paikar meñ kaun hai
'muḳhlis' tum us kā naam batāte nahīñ ho kyoñ
bartar hai ham meñ kaun barābar meñ kaun hai
gulshan mein rang-o-nur ke paikar mein kaun hai
KHushbu mein konpalon mein gul-e-tar mein kaun hai
ye kaun sa maqam hai KHidmat ka ai KHuda
jarub-kash ye KHana-e-be-zar mein kaun hai
maujen taDap rahi hain kinare hain zer-e-ab
mazlum ab jahan-e-samundar mein kaun hai
qaem tujhi se jab ki uruj-o-zawal hai
ai waqt tu hi bol ki chakkar mein kaun hai
nazron ki siDhiyon se utarta hai dil mein kaun
KHushbu ki tarah ruh ke paikar mein kaun hai
'muKHlis' tum us ka nam batate nahin ho kyon
bartar hai hum mein kaun barabar mein kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.