gulshan mein thi bahaar abhi kal ki baat hai
gulshan meñ thī bahār abhī kal kī baat hai
phūloñ pe thā nikhār abhī kal kī baat hai
tum hī hamāre vāste takte the rah-guzar
karte the intizār abhī kal kī baat hai
phūloñ kī tarah jin ko rakhā jaan se 'azīz
ban kar chhupe haiñ ḳhaar abhī kal kī baat hai
us ne bahut chhupā.e magar ġham na chhup sake
āñkheñ thiiñ ashk-bār abhī kal kī baat hai
vo zindagī se merī bahut duur ho gayā
thā merā ġham-gusār abhī kal kī baat hai
ai 'dard' tū bhī merī nigāhoñ se gir gayā
kartā thā tujh ko pyaar abhī kal kī baat hai
gulshan mein thi bahaar abhi kal ki baat hai
phulon pe tha nikhaar abhi kal ki baat hai
tum hi hamare waste takte the rah-guzar
karte the intizar abhi kal ki baat hai
phulon ki tarah jin ko rakha jaan se 'aziz
ban kar chhupe hain KHar abhi kal ki baat hai
us ne bahut chhupae magar gham na chhup sake
aankhen thin ashk-bar abhi kal ki baat hai
wo zindagi se meri bahut dur ho gaya
tha mera gham-gusar abhi kal ki baat hai
ai 'dard' tu bhi meri nigahon se gir gaya
karta tha tujh ko pyar abhi kal ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.