gulshan ye mahak uTThega tum aao kisi roz
gulshan ye mahak uTThegā tum aao kisī roz
aa kar mire pahlū ko bhī mahkāo kisī roz
karte ho shab-o-roz tasavvur meñ baserā
āñkhoñ ke mirī sāmne aa jaao kisī roz
taḌpāte ho tarsāte ho mar jā.ūñ na ġham se
ab āb-e-baqā ban ke chale aao kisī roz
bādal bhī gurezāñ hai barasne se yahāñ par
bādal ghanī zulfoñ ke liye aao kisī roz
ye dil jo dhaḌaktā hai dhaḌaktā hī rahegā
aa kar mirī dhaḌkan ko bhī samjhāo kisī roz
'ādil' se jo milne kī tamanna hai to ai dil
ḳhvāboñ se nikal sāmne aa jaao kisī roz
gulshan ye mahak uTThega tum aao kisi roz
aa kar mere pahlu ko bhi mahkao kisi roz
karte ho shab-o-roz tasawwur mein basera
aankhon ke meri samne aa jao kisi roz
taDpate ho tarsate ho mar jaun na gham se
ab aab-e-baqa ban ke chale aao kisi roz
baadal bhi gurezan hai barasne se yahan par
baadal ghani zulfon ke liye aao kisi roz
ye dil jo dhaDakta hai dhaDakta hi rahega
aa kar meri dhaDkan ko bhi samjhao kisi roz
'adil' se jo milne ki tamanna hai to ai dil
KHwabon se nikal samne aa jao kisi roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.