gulsitan-dar-gulsitan ab baghban koi nahin
gulsitāñ-dar-gulsitāñ ab bāġhbāñ koī nahīñ
phuul sab tanhā khaḌe haiñ titliyāñ koī nahīñ
dhuup achchhī lag rahī hai aaj kitne din ke baad
bādaloñ kā duur tak nām-o-nishāñ koī nahīñ
ḳhushk lakḌī kī tarah se jal ga.e saare makāñ
ye ajab ki saarī bastī meñ dhuāñ koī nahīñ
naam kyā degā koī in be-sabab hālāt ko
mehrbāñ saare haiñ lekin mehrbāñ koī nahīñ
apne ghar se duur rah kar har qadam hai imtihāñ
kaun kahtā hai yahāñ par imtihāñ koī nahīñ
us ne apne shauq se dast-e-duā kaTvā diye
us ke chehre par likhī ab dāstāñ koī nahīñ
raat kī jhīloñ meñ utregī kahāñ se chāñdnī
ham siyāh-baḳhtoñ ko bhī aisā gumāñ koī nahīñ
kyā ḳhabar kyā ho gayā hai is muammar shaḳhs ko
din Dhale jañgal se chuntā lakḌiyāñ koī nahīñ
ik ajab sā hādsa dekhā hai 'safdar' shahr meñ
ḳhushk haiñ sab āshiyāñ aur bijliyāñ koī nahīñ
gulsitan-dar-gulsitan ab baghban koi nahin
phul sab tanha khaDe hain titliyan koi nahin
dhup achchhi lag rahi hai aaj kitne din ke baad
baadalon ka dur tak nam-o-nishan koi nahin
KHushk lakDi ki tarah se jal gae sare makan
ye ajab ki sari basti mein dhuan koi nahin
nam kya dega koi in be-sabab haalat ko
mehrban sare hain lekin mehrban koi nahin
apne ghar se dur rah kar har qadam hai imtihan
kaun kahta hai yahan par imtihan koi nahin
us ne apne shauq se dast-e-dua kaTwa diye
us ke chehre par likhi ab dastan koi nahin
raat ki jhilon mein utregi kahan se chandni
hum siyah-baKHton ko bhi aisa guman koi nahin
kya KHabar kya ho gaya hai is muammar shaKHs ko
din Dhale jangal se chunta lakDiyan koi nahin
ek ajab sa hadsa dekha hai 'safdar' shahr mein
KHushk hain sab aashiyan aur bijliyan koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.