gulzar-e-mohabbat mein na phule na phale hum
gulzār-e-mohabbat meñ na phūle na phale ham
mānind-e-chinār aag meñ apnī hī jale ham
muddat pe jo kal us se mile ho ga.e be-ḳhud
samjhā na gayā ye ki mile kis ke gale ham
lohū kī tarah jam ga.e talvār ke muñh par
TukḌe hue par aage se us ke na Tale ham
āzurda 'abas hote ho tum nāla-kashī se
lo ḳhush raho ai ham-nafasāñ yaañ se chale ham
ai vā'da ġhalat to nahīñ aane kā phir andher
samjheñ haiñ tirā ḳhuub ye āre-o-bale ham
be-rahm kisī ne na ḳhabar lī tire dar par
juuñ naqsh-e-qadam dil hī ga.e paañv tale ham
mahfūz rakhā 'ishq ne īzā-e-ajal se
kunjashk the par changul-e-shāhīñ meñ pale ham
jab 'ishq kī ātish dil-e-afsurda meñ bhaḌkī
patthar the pe shīshe hī ke mānind gale ham
āñkho meñ ḳhalā.iq ke bure Thahre haiñ 'joshish'
is hasti-e-mauhūm meñ aa.e the bhale ham
gulzar-e-mohabbat mein na phule na phale hum
manind-e-chinar aag mein apni hi jale hum
muddat pe jo kal us se mile ho gae be-KHud
samjha na gaya ye ki mile kis ke gale hum
lohu ki tarah jam gae talwar ke munh par
TukDe hue par aage se us ke na Tale hum
aazurda 'abas hote ho tum nala-kashi se
lo KHush raho ai ham-nafasan yan se chale hum
ai wa'da ghalat to nahin aane ka phir andher
samjhen hain tera KHub ye aare-o-bale hum
be-rahm kisi ne na KHabar li tere dar par
jun naqsh-e-qadam dil hi gae panw tale hum
mahfuz rakha 'ishq ne iza-e-ajal se
kunjashk the par changul-e-shahin mein pale hum
jab 'ishq ki aatish dil-e-afsurda mein bhaDki
patthar the pe shishe hi ke manind gale hum
aankho mein KHalaiq ke bure Thahre hain 'joshish'
is hasti-e-mauhum mein aae the bhale hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.