Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulzar mein ye kahti hai bulbul gul-e-tar se

Nooh Narvi

gulzar mein ye kahti hai bulbul gul-e-tar se

Nooh Narvi

MORE BYNooh Narvi

    gulzār meñ ye kahtī hai bulbul gul-e-tar se

    dekhe koī ma.ashūq ko āshiq nazar se

    lo aur suno kahte haiñ vo ham se bigaḌ kar

    dekho hameñ dekho na mohabbat nazar se

    vo uTThī vo aa.ī vo ghaTā chhā ga.ī saaqī

    mai-ḳhāne pe allāh kare TuuT ke barse

    mai-ḳhāne pe ghanghor ghaTā chhā.ī hai be-kār

    khulnā ho to khul jaa.e barasnā ho to barse

    kyā 'ishq hai kyā shauq hai kyā rashk hai kyā laag

    dil jalva-gāh-e-nāz meñ aage hai nazar se

    is ḳhauf se mil lete haiñ vo 'nūh' se aksar

    tūfāñ na uThā.e kahīñ ye dīda-e-tar se

    gulzar mein ye kahti hai bulbul gul-e-tar se

    dekhe koi mashuq ko aashiq ki nazar se

    lo aur suno kahte hain wo hum se bigaD kar

    dekho hamein dekho na mohabbat ki nazar se

    wo uTThi wo aai wo ghaTa chha gai saqi

    mai-KHane pe allah kare TuT ke barse

    mai-KHane pe ghanghor ghaTa chhai hai be-kar

    khulna ho to khul jae barasna ho to barse

    kya 'ishq hai kya shauq hai kya rashk hai kya lag

    dil jalwa-gah-e-naz mein aage hai nazar se

    is KHauf se mil lete hain wo 'nuh' se aksar

    tufan na uThae kahin ye dida-e-tar se

    Source :
    • Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 147)
    • Author : Hasrat Mohani
    • Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
    • Edition : 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now