gum gaya ho kahin aisa nahin hai
gum gayā ho kahīñ aisā nahīñ hai
vaqt phir bhī mujhe miltā nahīñ hai
chhoḌ detā hai mujhe manzil par
rāsta saath ye ruktā nahīñ hai
kal duā meñ tujhe māñgā thā magar
puurī hogī duā lagtā nahīñ hai
us meñ achchhā nahīñ dikhtā huuñ maiñ
aa.ina vo tire jaisā nahīñ hai
gar mohabbat hai to phir ye na kaho
vo hai aisā yā vo vaisā nahīñ hai
'ahad' mat do abhī kal ke va.ade
abhī kal meñ mujhe jiinā nahīñ hai
gum gaya ho kahin aisa nahin hai
waqt phir bhi mujhe milta nahin hai
chhoD deta hai mujhe manzil par
rasta sath ye rukta nahin hai
kal dua mein tujhe manga tha magar
puri hogi dua lagta nahin hai
us mein achchha nahin dikhta hun main
aaina wo tere jaisa nahin hai
gar mohabbat hai to phir ye na kaho
wo hai aisa ya wo waisa nahin hai
'ahad' mat do abhi kal ke wade
abhi kal mein mujhe jina nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.