gum hun KHalaon mein ki sar-e-asman rahen
gum huuñ ḳhalāoñ meñ ki sar-e-āsmāñ raheñ
bichhḌe jo ham zamīñ se to jaane kahāñ raheñ
haa.il hazār raah meñ sang-e-girāñ raheñ
dariyā haiñ ham to kyoñ na musalsal ravāñ raheñ
ye chāhte hue bhī ki ban jaa.eñ aa.ina
āḳhir badan ke parde meñ kab tak nihāñ raheñ
ġhurbat ho ham pe sahl jo yādoñ ke ruup meñ
tum bhī hamāre saath raho ham jahāñ raheñ
jī chāhtā hai raunaq-e-bāzār dekh kar
is shahr hī meñ koī banā kar makāñ raheñ
qurbat 'ajab nahīñ ki diloñ ko nasīb ho
jismoñ ke fāsle na agar darmiyāñ raheñ
jab marhale varā-e-taḳhayyul haiñ aur bhī
ham kyoñ asīr-e-manzil-e-vahm-o-gumāñ raheñ
ham bhī haiñ phuul ham pe zamīn-e-chaman ke saath
fasloñ ke devtā bhī zarā mehrbāñ raheñ
'ḳhāvar' hamāre baa'd bahut hai ki chaar din
lauh-e-jahāñ pe sabt hamāre nishāñ raheñ
gum hun KHalaon mein ki sar-e-asman rahen
bichhDe jo hum zamin se to jaane kahan rahen
hail hazar rah mein sang-e-giran rahen
dariya hain hum to kyon na musalsal rawan rahen
ye chahte hue bhi ki ban jaen aaina
aaKHir badan ke parde mein kab tak nihan rahen
ghurbat ho hum pe sahl jo yaadon ke rup mein
tum bhi hamare sath raho hum jahan rahen
ji chahta hai raunaq-e-bazar dekh kar
is shahr hi mein koi bana kar makan rahen
qurbat 'ajab nahin ki dilon ko nasib ho
jismon ke fasle na agar darmiyan rahen
jab marhale wara-e-taKHayyul hain aur bhi
hum kyon asir-e-manzil-e-wahm-o-guman rahen
hum bhi hain phul hum pe zamin-e-chaman ke sath
faslon ke dewta bhi zara mehrban rahen
'KHawar' hamare ba'd bahut hai ki chaar din
lauh-e-jahan pe sabt hamare nishan rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.