gum is qadar hue aaina-e-jamal mein hum
gum is qadar hue ā.īna-e-jamāl meñ ham
usī ko DhūñDte haiñ us ke ḳhadd-o-ḳhāl meñ ham
javāz-e-sust-ḳhirāmī talāsh karte haiñ
kis ehtimām se raftār-e-māh-o-sāl meñ ham
zamāne ham tirī har kaj-ravī ko jānte haiñ
isī liye kabhī aa.e na terī chaal meñ ham
jahāñ pe tujh se bichhaḌnā bahut zarūrī thā
usī jagah pe khaḌe haiñ tire ḳhayāl meñ ham
ta.ayyun-e-safar-o-samt se haiñ begāna
chale junūb ko the aa ga.e shumāl meñ ham
shikasta aa.ina haiñ ham ko reza reza uThā
ki chuur chuur hue dil kī dekh-bhāl meñ ham
gum is qadar hue aaina-e-jamal mein hum
usi ko DhunDte hain us ke KHadd-o-KHal mein hum
jawaz-e-sust-KHirami talash karte hain
kis ehtimam se raftar-e-mah-o-sal mein hum
zamane hum teri har kaj-rawi ko jaante hain
isi liye kabhi aae na teri chaal mein hum
jahan pe tujh se bichhaDna bahut zaruri tha
usi jagah pe khaDe hain tere KHayal mein hum
tayyun-e-safar-o-samt se hain begana
chale junub ko the aa gae shumal mein hum
shikasta aaina hain hum ko reza reza uTha
ki chur chur hue dil ki dekh-bhaal mein hum
- Book : Sukhan sukhan mehtaab (Pg. 56)
- Author : Mohsin Ehsaan
- Publication : Aziz ahmed Khan (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.