gum-sum baiTha soch raha hun dil mein ek junun bhare
gum-sum baiThā soch rahā huuñ dil meñ ek junūn bhare
kitnī bechainī dete haiñ vo do nain sukūn bhare
aa sakte ho dekhnī ho gar vīrāne meñ shādābī
mere andar sahrā haiñ aur sahrā bhī zaitūn bhare
qadam qadam par qurbānī de qadam qadam par dukh jhele
har rishte kī god meñ kitnī ḳhushiyāñ ik ḳhātūn bhare
yaad kisī kī bhar detī hai ek ḳhumār sā āñkhoñ meñ
qurb kisī kā jaise merī rag-rag meñ afyūn bhare
dil kī baat kisī ko samjhāne kī ḳhātir ġhazloñ meñ
kaise kaise sher kahe haiñ aur kyā kyā mazmūn bhare
rangoñ meñ 'shahbāz' ḳhushī kā rang numāyāñ thā us par
merī sālgirah par jis ne sāñsoñ se ballōn bhare
aaj use 'shahbāz' hamāre dukh-sukh kā ehsās nahīñ
pahle pahle ḳhat likhtī thī vo jo ham ko ḳhuun bhare
gum-sum baiTha soch raha hun dil mein ek junun bhare
kitni bechaini dete hain wo do nain sukun bhare
aa sakte ho dekhni ho gar virane mein shadabi
mere andar sahra hain aur sahra bhi zaitun bhare
qadam qadam par qurbani de qadam qadam par dukh jhele
har rishte ki god mein kitni KHushiyan ek KHatun bhare
yaad kisi ki bhar deti hai ek KHumar sa aankhon mein
qurb kisi ka jaise meri rag-rag mein afyun bhare
dil ki baat kisi ko samjhane ki KHatir ghazlon mein
kaise kaise sher kahe hain aur kya kya mazmun bhare
rangon mein 'shahbaz' KHushi ka rang numayan tha us par
meri salgirah par jis ne sanson se balloon bhare
aaj use 'shahbaz' hamare dukh-sukh ka ehsas nahin
pahle pahle KHat likhti thi wo jo hum ko KHun bhare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.