gum-sum gum-sum lagte nahin tum hum ko achchhe allah-miyan
gum-sum gum-sum lagte nahin tum hum ko achchhe allah-miyan
Shahram Sarmadi
MORE BYShahram Sarmadi
gum-sum gum-sum lagte nahīñ tum ham ko achchhe allah-miyāñ
bolo bolo kuchh to bolo phuul se pyāre allah-miyāñ
raat mile chandā maamā se aur pariyoñ ke des ga.e
uḌan-khaTole meñ dekhe the baġhal meñ baiThe allah-miyāñ
us din jab bārish meñ hamārī naao Duubī paanī meñ
sahn meñ baiThe saath hamāre ro.e jaise allah-miyāñ
duudh jalebī kyoñ nahīñ laate kahāñ hai miTTī kā hāthī
ham nahīñ bolte ham nahīñ bolte kaale kalūTe allah-miyāñ
kahāñ añdhere meñ jaate ho bāhar bhuut aa jā.egā
dekho chupke se so jaao saath hamāre allah-miyāñ
gum-sum gum-sum lagte nahin tum hum ko achchhe allah-miyan
bolo bolo kuchh to bolo phul se pyare allah-miyan
raat mile chanda mama se aur pariyon ke des gae
uDan-khaTole mein dekhe the baghal mein baiThe allah-miyan
us din jab barish mein hamari nao Dubi pani mein
sahn mein baiThe sath hamare roe jaise allah-miyan
dudh jalebi kyon nahin late kahan hai miTTi ka hathi
hum nahin bolte hum nahin bolte kale kaluTe allah-miyan
kahan andhere mein jate ho bahar bhut aa jaega
dekho chupke se so jao sath hamare allah-miyan
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 71)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.