gum-sum tanha baiTha hoga
gum-sum tanhā baiThā hogā
cigarette ke kash bhartā hogā
us ne khiḌkī kholī hogī
aur galī meñ dekhā hogā
zor se merā dil dhaḌkā hai
us ne mujh ko sochā hogā
maiñ to hañsnā bhuul gayā huuñ
vo bhī shāyad rotā hogā
ThanDī raat meñ aag jalā kar
merā rasta taktā hogā
gum-sum tanha baiTha hoga
cigarette ke kash bharta hoga
us ne khiDki kholi hogi
aur gali mein dekha hoga
zor se mera dil dhaDka hai
us ne mujh ko socha hoga
main to hansna bhul gaya hun
wo bhi shayad rota hoga
ThanDi raat mein aag jala kar
mera rasta takta hoga
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 672)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.